Browse songs by

ham apane aa.Nsu_o.n kaa afasaanaa haa.N kyaa sunaaye.n

Back to: main index
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image

ham apane aa.Nsu_o.n kaa afasaanaa haa.N kyaa sunaaye.n
duniyaa ne kar diyaa hai diiwaanaa haa.N kyaa bataaye.n

sab zaKm bhar chuke hai.n sab Kaab mar chuke hai.n
ab kis ummiid par ham shamme na_ii jalaaye.n

in kashtiyo.n kaa kyaa hai aksar yahii hu_aa hai
tuufaan se nikal kar saahil pe Duub jaaye.n

kab saath umar bhar kaa ham dil-zado.n ne chaahaa
par hamasafar hamaare kuchh duur tak to aaye.n

Comments/Credits:

			 % Audio on: Magnasound. Cassette No. CI-Z1100
% A Tribute to her whose soul departed today Feb 04, 2004
		     
View: Plain Text, हिंदी Unicode, image